The following is from a movie I recently watched "Lage Raho Munnabhai"... If you understand Hindi, It'll make you think (I will translate later)
Shaher ki is daud mein daud ke karna kya hai
Jab yehi jeena hai doston to phir marna kya hai
Pehli baarish mein train late hone ki fikr hai
Bhul gaye bheegte hue tehelna kya hai
Serials ke kirdaaron ka saara haal hai malum
par maa ka haal puchne ki fursat kise hai
Ab ret pe nange paw tehelte kyun nahi
Ek sau aath hain channel phir dil behelte kyun nahi
Internet ki duniya ke to touch me hain,
lekin pados mein kaun rehta hai jaante tak nahi.
Mobile, Landline sab ki bharmaar hai,
Lekin jigri dost tak pahunche aise taar kahan hai
Kab doobte hue suraj ko dekha tha yaad hai
Kab jaana tha shaam ka woh bahana kya hai
To doston shaher ki is daud mein daud ke karna kya hai
Jab yehi jeena hai to fir Marna kya hai?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment